Monday, September 24, 2012

MEHDI HASSAN ..THE VERY BEST OF HIS GHAZALS



                            

CONTINUED FROM :

http://kunjubighazalsunlimited.blogspot.in/2012/02/mehdi-hassan-ghazals-14.html









1.  ZINDAGI MEIN TO SABHI PYAR KIYA



     Zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
     ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
     ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
     maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
     tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

     apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
     maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
     main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
     maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
     pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
     main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga



Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=uTdHP0HDdgw








2.  RAFTA RAFTA WO MERI HASTI KA SAAMAAN

     Rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
     pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye

     din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
     phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye
    
     aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
     pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye

     pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
     aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye




Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


    
http://www.youtube.com/watch?v=Yz12MV7Tvdw




3.   TERE BHEEGE BADAN KI KHUSHBOO


     Tere bheege badan ki khooshboo se
     lehre bhi huyee mastaani si
     teri zulf ko chookar aaj huyee
     khaamosh hawa diwaani si

     ye roop ka kundan dehka hua
     ye zism ka chandan mehka hua
     ilzaam na dena fir muJhko
     ho jaaye agar naadani si

     bikhra hua kaajal aankhoN meiN
     toofaan ki halchal saansoN meiN
     ye narM laboN ki khamoshi
     palko meiN chupi hairaani si


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=pd6tAvwp2go


4.  YOON ZINDAGI KI RAAH MEIN TAKRA

     YooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
     ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

     wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
     itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
     wo kehar wo gazab  wo jafa muJko yaad hai
     wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
     mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
     fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
     bechargi pe meri usse reham aa gaya
     shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
     saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
     manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
     ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
     rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
     zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

     ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
     benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
     ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
     ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
     manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
     yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=LTqoFj9wHoI








5. KYOON HUMSA KHAFA HO GAYE

     KyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina
     aise mein to sholoN ko bhi aata hai paseena
     is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa meiN  
     barsaat ne ik aaga laga di hai hawa meiN
     is aag ko seene meiN basa kyoon nahiN lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

     aaya hai kise raas judaai ka ye aalam
     taDpenge meiN akele meiN udhar aap idhar hum
     dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete
     bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=p_BZOQJGa-o



6     MUJHE TUM NAZAR SE GIRA TO RAHE HO

     MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
     muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
     na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
     mere pyaar ko tum mitaa na sakoge

     meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
     kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
     kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
     tadapta muJhe har taraf paaoge tum
     shama jo jalaayi hai meri wafa ne
     bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge

     kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
     to bechain ho hoke dil thaam loge
     to bechain ho hoke dil thaam loge
     nigahon mein chaayega gham ka andhera
     kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
     bataana bhi chaaho bata na sakoge


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=9fVyDt3fQ8A




7. YE TERA NAAZUK BADAN HAI YA KOI

     Ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab
     kya karoon taarif teri har adaa hai laajawab

     kyoon na ye dil tumko chaahe husn se bhi tum ho haseen
     paaOn padte hain jahan pe phool khil jaate hain wahin
     jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab
     ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab

     ruk gaye saawan ke baadal zulf jab chehre pe paDi ho
     dekh le jo unko shaayad bhool jaaye wo shaayari
     sang-e-marmar ka badan hai ya kisi shaayar ka khwaab


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=F597btJV0jQ





8.  DUNIYA KISI KE PYAREIN JANNAT SE KAAM NAHIN

     Duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
     ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN

     tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
     jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
     jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
     duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
    
     bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe
     palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
     khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
     duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video 

http://www.youtube.com/watch?v=Dn8Dkz1QUOE

    


9. RIM JHIM KI BARSAAT HAI AUR JAAGE


     Rim jhim ki barsaat hai aur jaage huye jazbaat haiN
     husN ki garmi pyaar ki narmi dono ab ik saath haiN

     ruth hai badi mastaani
     dekho bheeg na jaaye jawaani
     kahin aag laga bin paani
     hosh nahin hai dil ka
     ab aise hi kuch haalat haiN

     aankho meiN hai sharaare
     lage jalne hoth kunwaare
     kuch samJho khudaa ishaare
     dil hai pyaar ka pyaasa
     aur bheege huye din raat haiN


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=WNVd5spkeHw            [ALT]




10.  SHIKWA NA KAR GILA NA KAR YE DUNIYA

     Shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
     yahan gham ke maare tadapte raheN

     khizaN is gulistaaN meiN aati rahi hai
     hawa sookhe patte uDaati rahi hai
     yahan phool khilke baharon se milke bichadte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
    
     yahan tere ashkoN ki keemat nahiN hai
     reham karna duniya ki aadat nahiN hai
     kisi ne na dekha yahan khooN ke aansoo dhalkte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
    
     yahan ka dastoor hai khamosh rehna
     jo guzri hai dil pe kisi se na kehna
     ye din kaate hase yahan log bas ke ujaDte rahe
     shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare



  Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video    


 http://www.youtube.com/watch?v=tcoKlbmIn9A


11.   ILAHI AANSOO BHARI ZINDAGI KISI KO NA DE


     Ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
     khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
   
     udaas dil ki tamanna hai ashkbaar hooN maiN
     khizaaN meiN jaise baaharoN ki yaadgaar hoon maiN
     udaasi jis pe haNse wo hasi kisi ko na de
     ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
    
     ujaad kar meri duniya ko rakh diya tune
     meri hayat ke maalik ye kya kiya tune
     jo gham naseeb ho aisi khushi kisi ko na de
     khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=lMb5AG_0deo


 


12.  IK HUSN KI DEWI SE MUJHE PYAR HUA THAA

      Ik husn ki dewi se muJhe pyaar hua thaa
     dil uski mohaabat meiN giraftaar hua thaa

     wo roop ke jis roop se kaliyaN bhi lajaayeN
     wo julf ke jis julf se sharmaaye ghaTaayeN
     maikhane-e-nigaahon pe adaaoN ke taraane
     de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
     haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
     ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
     ik peD ke saaye meiN jab ikraar hua thaa
    
     kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
     lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
     angDai na lekar meri baahon ke sahaare
     gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
     ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
     usne bhi kai baar mere baal sanwaare
     ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa
    
     kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
     us husn ki dewi ne bhi nazroN ko firaaya
     kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
     aachal mere haathoN se mohaabat ne chuDaaya
     ik raat ko usne muJhe sota hua choDa
     chal di wo kahin pyaar ko rota hua choDa
     soya hua main neend se jaaga jo sawere
     wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
     taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
     hote hain bure waqt meiN apne bhi paraaye
     kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa


 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


http://www.youtube.com/watch?v=zdqe60aQ8Sg






13.  MERA IMAAN MOHABBAT HAI MOHAABBAT KI KASAM


     Mera imaan mohabbat hai mohabbat ki kasam
     saare duniya tere kadmoN pe nichaawar kar doon
     chaand taaron se meri jaan tera daaman bhar doon
     tere khwaaboN pe kabhi chaa na sake shaam-e-alam

     wo jahan ek jahannam hai jahan tu na mile
     jal ke mar jaaooon jo ye saaya-e-gesoo na mile
     zindagi zehar bhara jaam hai ab tere baghair
     teri chaahat pe hai qurbaan mere laakh janam

     mushkuraa jaane-e-bahara ke sawera hoga
     khatm sadiyon ki riwazon ka andhera hoga
     shab ki taqdeer meiN likha hai guzar hi jaana
     raah suraj ki kahan rok sake ehle sitam


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video 


http://www.youtube.com/watch?v=Jzjg8FMyIew




14.  FIR AAKE CHALE JAANAA IK BAAR CHALE AAO


     Fir aake chale jaana ik baar chale aao
     surat to dikha jaao, ik baar chale aao

     tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
     kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

     jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
     kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
    
     kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
     ab jaan pe ban aayi lillah chale aao


Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video

http://www.youtube.com/watch?v=h_mAA0CTWD0



15.    HUM SE BADAL GAYA WO NIGAAHE TO KYA HUA


     Hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua
     zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair

     guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe
     ab apne ikhtiyaar meiN wo bhi nahin rahe

     kismat meiN reh gayi hai jo aahe to kya hua
     sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair

     wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan
     likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan

     usko taras gayi hai ye baaheN to kya hua
     wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair

     pehle karib tha koi ab dooriyaaN bhi haiN
     insaan ke naseeb meiN majbooriyaaN bhi haiN

     apni badal chuka hai wo raahen to kya hua
     hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair



 Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


 http://www.youtube.com/watch?v=yBQvb-Dl228




16.  BHADAK RAHI HAI AAG SI HAWAAON MEIN

      Bhadak rahi hai aag si hawaaoN meiN
     sulag raha hooN baadaloN ke chaaoN meiN
     bahaar muJh se chin gayi muJhe bahaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
     main lut gaya hoon dil ki baat maanke
     na muJhko chaahiye wafa na muJhko pyaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     na jaane kab ye dil ka dard jaayega
     rahoonga hosh meiN to gham sataayega
     mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

     tadap na mere dil kisi ki aas meiN
     hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas meiN
     tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
     muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye

Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video


 http://www.youtube.com/watch?v=NMT8Fy4FY-8&feature=related














Friday, September 21, 2012

SELECTED GHAZALS FROM HINDI MOVIES



1. MOVIE: MIRZA GHALIB [ 1954]   SOHRAB MODI

CAST:  SURAIYA,  BHARAT BHUSHAN,  DURGA KHOTE, SADAT ALI, ULHAS

LYRICS;  MIRZA GHALIB

MUSIC:    GHULAM MOHD.


"DIL-E-NADAN TUJHE KYA HAI'

SINGERS:    TALAT MAHMOOD  &  SURAIYA;

dil-e-naadaa tujhe huaa kyaa hai

aakhir is dard ki davaa kyaa hai

ham hai mushtaaq aur vo bezaar

yaa ilaahi, ye maajaraa kyaa hai

mai bhi muh me zubaan rakhataa hun

kaash puchho ki mudda kyaa hai

jabaki tujh bin nahi koi maujud

phir ye hagaamaa ai khudaa kyaa hai

ye pari-cheharaa log kaise hai

gamazaa-o-ush{}vaa-o-adaa kyaa hai

shikane-zulafe-amabari kyaa hai

nigaahe-chashme-surama saa kyaa hai

sabz-o-gul kahaan se aaye hai

abr kyaa chiz hai, havaa kyaa hai

hamako unase vafaa ki hai ummid

jo nahi jaanate vafaa kyaa hai

haan bhalaa kar, teraa bhalaa hogaa

aur daravesh ki sadaa kyaa hai

jaan tum par nisaar karataa hun

mai nahi jaanataa duaa kyaa hai

maine maanaa ki kuchh nahi ``gaalib''

muft haath aaye, to buraa kyaa hai

http://www.youtube.com/watch?v=rQfQlSaUMt4&feature=player_embedded


   2.  MOVIE:   LAL QUILA [ 1960]  NANABHAI BHATT

        CAST:    JAIRAJ, NIRUPA ROY, HELEN,BHARAT BHUSHAN, KAMAL KAPOOR,

                     M. KUMAR....

LYRICS:    BAHDUR SHAH ZAFAR

MUSIC;   S.N. TRIPATHI


"   NA KISEE KEE AANKH KAA NUR HU"

SINGER:    MOHD. RAFI

naa kisee kee aankh kaa nur hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu,

naa kisee ke dil kaa karar hu

jo kisee ke kam naa aa sake,

mai woh ek mushthe ghubar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu

naa toh mai kisee kaa habib hu,

naa toh mai kisee kaa rakib hu

jo bigad chala gaya woh nasib hu,

jo ujad gaya woh dayar hu

meraa rang rup bigad gaya,

meraa yar muhjse bichad gaya

jo chaman khijan me ujad gaya,

mai usi kee fasle bahar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu,

naa kisee ke dil kaa karar hu

pay fatiha koi aaye kyon,

koi char phul chadaye kyon

koi aake shama jalaye kyon -2,

mai woh be-kasi kaa majar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu,

naa kisee ke dil kaa karar hu

jo kisee ke kam naa aa sake,

mai woh ek musth-e-gubar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu

mai kaha rahu mai kaha basu,

naa yeh mujhse khush naa woh mujhse khush

mai jamin kee pith kaa bojh hu,

mai falak ke dil kaa gubar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu

http://www.youtube.com/watch?v=XTzp2H86q64


  3.     MOVIE:   GHAZAL  [1964]   VED MADAN

CAST:    SUNIL DUTT, MEENA KUMARI, RHMASN, PRITHVIRAJ KAPOOR, RAJENDRANATH,  RAJ MEHRA, MEHAMOOD...

LYRICS;     ZAHIR LUDHIANVI

MUSIC:       MADAN MOHAN


" RANG AUR NUR KI BARAT'

SINGER:       NIOHD, RAFI

rag aur nur ki baaraat kise pesh karun

ye muraado ki hasi raat kise pesh karun, kise pesh karun

maine jazabaat nibhaae hai usulo ki jagah    (2)

apane aramaan piro laayaa hun phulo ki jagah

tere sehare ki

tere sehare ki ye saugaat kise pesh karun

ye muraado ki hasi raat kise pesh karun, kise pesh karun

ye mere sher mere aakhiri nazaraane hai       (2)

mai un apano mai hun jo aaj se begaane hai

beta-aa-luk si mulaakaat kise pesh karun

ye muraado ki hasi raat kise pesh karun, kise pesh karun

surkh jode ki tabotaab mubaarak ho tujhe       (2)

teri aankho kaa nayaa kvaab mubaarak ho tujhe

ye meri kvaahish ye kayaalaat kise pesh karun

ye muraado ki hasi raat kise pesh karun, kise pesh karun

kaun kahataa hai chaahat pe sabhi kaa haq hai      (2)

tu jise chaahe teraa pyaar usi kaa haq hai

mujhase kah de

mujhase kah de mai teraa haath kise pesh karun

ye muraado ki hasi raat kise pesh karun, kise pesh karun

rag aur nur ki

http://www.youtube.com/watch?v=hOB4D2Lymd8


    4. MOVIE:   KHAMOSHI   [1968]  ASIT SEN

CAST:  RAJESH KHANNA, WAHEEDA REHMAN, SNEHALATA, NAZIR HSSAIN,

DEVAN VARMA, IFTEKAR, LALITA PAWAR, DHARMENDRA, ANWAR HUSSAIN, ..

LYRICS:    GULZAR

MUSIC;    HEMANT KUMAR


"HAMANE DEKHI HAI IN ANKHO KI MAHAKTI KHUSHBOO..."

SINGER:    LATA

hamane dekhi hai in aankho ki mahakati khushabu

haath se chhuke ise rishto kaa ilzaam na do

sirf ehasaas hai ye ruh se mahasus karo

pyaar ko pyaar hi rahane do koi naam na do

hamane dekhi hai

pyaar koi bol nahi, pyaar aavaaz nahi

ek khaamoshi hai sunati hai kahaa karati hai

naa ye bujhati hai naa rukati hai naa thahari hai kahi

nur ki bund hai sadiyo se bahaa karati hai

sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus karo

pyaar ko pyaar hi rahane do, koi naam naa do

hamane dekhi hai

muskaraahat si khili rahati hai aankho me kahi

aur palako pe ujaale se chhupe rahate hai

hoth kuchh kahate nahi, kaanpate hotho pe magar

kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hai

sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus karo

pyaar ko pyaar hi rahane do, koi naam naa do

hamane dekhi hai


5.   MOVIE:   KAAJAL  [1965]   RAM MAHESWARI

CAST:  DHARMENDRA, MRRNAS KUMARI, RAJ KU\,MAR, MUMTAZ, PADMINI, HELEN

JAGIRDAR, TIWARI, MADHU APTE, SHABNAM...

LYRICS:     SAHIR KUDHIANVI

MUSIC:       RAVI


"   CHHU LEME FO NAAZUK HOTHO HAI"

SINGER:   MOHD. RAFI

chhu lene do naazuk hotho ko

kuchh aur nahi hai jaam hai ye

qudarat ne jo hamako bakshaa hai

vo sabase hasi inaam hai ye

sharamaa ke na yun hi kho denaa

ragin javaani ki ghadiyaan

betaab dhadakate sino kaa

aramaan bharaa paigaam hai ye, chhu

achchho ko buraa saabit karanaa

duniyaa ki puraani aadat hai

is mai ko mubaarak chiz samajh

maanaa ki bahut badanaam hai ye, chhu

http://www.youtube.com/watch?v=HP23ONvZDeU


6.   MOVIE:    MAUSAM  [ 1975]  GULZAR

CAST:  SANJEEV KUMAR, SHAEMILA TAGORE, AGHA, OM SHIV PURI,....

LYRICS:       GULZAR

MUSIC:         MADAN MOHAN


" DIL DHOONDTHA HAI"

SINGER :   BHUPINDER SINGH

dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din

baithe rahe tasawwure jana kiye huye

jaddo ki narm dhup aur aangan me let kar

aankho pe khinch kar tere daaman ke saye ko

aaundhe pade rahe kabhi karwat liye huye

ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale

thandi safed chadro pe jage der tak

taro ko dekhte rahe chhat par pade huye

barfili sardiyo me kisi bhi pahad par

wadi me gunjti hui, khamoshiya sune

aankho me bhige bhige se lamhe liye huye

http://www.youtube.com/watch?v=RWDiJTWJskE





http://www.youtube.com/watch?v=9JZ9vyTv2hc&feature=player_embedded    



7.    MOVIE:         PREM GEET[ 1981]   SUDESH ISSAR

CAST: RAJ BEBBAR, ANITHA RAJ, RAJNI SHARMA, MADAN PURI, SULOCHANA CHATTERJEE, SHAMMI, SAAJJAN, ....

LYRICS:        INDEEVAR

MUSIC:         JAGJIT SINGH





SINGER:    JAGJIT SINGH



hm mm mm mm hm hm hm hm hm

honto se chhu lo tum, meraa git amar kar do - (2)

ban jaao mit mere, meree prit amar kar do

honto se chhu lo tum, meraa git amar kar do

naa umrr kee sima ho, naa janm kaa ho bandhan - (2)

jab pyaar kare koyee, toh dekhe keval mann

nayee rit chalaakar tum, yeh rit amar kar do - (2)


aakaash kaa sunaapan, mere tanaha mann me - (2)

paayal chhankaatee tum, aa jaao jivan me

saanse dekar apanee, sangit amar kar do

sangit amar kar do, meraa git amar kar do


jag ne chhina mujhase, mujhe jo bhee laga pyaara - (2)

sab jita kiye mujhase, mai har dam hee haara

tum haarke dil apana, meree jit amar kar do - (2)

honto se chhu lo tum, meraa git amar kar do


http://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=UZAEbC8182I


8.   MOVIE:    BAZZAR  [1981]   SAGAR SARHADI


CAST:   NASRUDDIN SHAH, SUPRIYA PATHAK, SMITA PATEL, FAROOQ SHEIKH, BHARAT KAPOOR, NISHA SINGH, B.L.CHOPRA, JAVED KHAN, ha

LYRICS:             MAQDOOM MOHIUDDIN
MUSIC                KHAYYAM

"MAA [PHIR CHHIDI RAAT, BAAT PHULO KI"


SINGERS:   LATA &  TALAT AZEEZ


ma: (phir chhidi raat, baat phulo ki

fe:  raat hai yaa baaraat phulo ki) -2


fe: phul ke hai phul ke gajare -2

   shaam phulo ki, raat phulo ki


ma: aapakaa saath-saath phulo kaa -2

   aapaki baat baat phulo ki


fe: phul khilate rahege duniyaa me -2

   roz nikalegi baat phulo ki


ma: nazare milati hai jaam milate hai -2

   mil rahi hai hayaat phulo ki


ma/fe: ye mahakati hui gazal makadu -2

   jaise saharaa me raat phulo ki

http://www.youtube.com/watch?v=meif1oIfJ5o

9.     SAATH  SAATH  [1982] RAMAN KUMAR

CAST:   FAROOQ SHEIKH, DEEPTHHI NAVAL, IFTEKAR, SATISH SHAH, SUDHA CHOPRA, A.K. HANGAL, AVTAR SILL, RAKESH BEDI.

LYRICS:      JAVED AKHTAR

MUSIC:       KULDIP SINGH

"Tumko Dekha To Ye Khayal"

SINGER:   JAGJIT SINGH

tumako dekhaa to ye kayaal aayaa

zindagi dhup tum ghanaa saayaa

tumako


aaj phir dilane ek tamannaa ki - (2)

aaj phir dilako hamane samajhaayaa

zindagi dhup tum ghanaa saayaa


tum chale jaaoge to sochege - (2)

hamane kyaa khoyaa, hamane kyaa paayaa

zindagi dhup tum ghanaa saayaa


ham jise gunagunaa nahi sakate - (2)

vaqt ne aisaa git kyun gaayaa

zindagi dhup tum ghanaa saayaa


http://www.youtube.com/watch?v=fFM4XaqY8BM





10.    MOVIE:                ARTH  [ 1982]   MAHESH BHATT

CAST:    RAJ KIRAN, SMITA PATEL, SHABNA AZMI, KULBHUSHAN KAHARBANDE, ROHINI HATHANGADI, KIRAN VIRALE, OM SHIV PURI.....

LYRICS:     KAIFI AZMI

MUSIC:       KULDEEP SINGH

""  JHUKI JHUKI SI NAZAR BEQARAAR HAI KI NAHI"

SINGER:    JAGJIT SINGH

jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ki nahi

dabaa dabaa saa sahi dil me pyaar hai ki nahi


tu apane dil ki javaan dhadakano ko gin ke bataa

meri tarah teraa dil beqaraar hai ki nahi 

dabaa dabaa saa sahi dil me pyaar hai ki nahi

jhuki jhuki si nazar


vo pal ke jis me mohabbat javaan hoti hai

us ek pal kaa tujhe itazaar hai ki nahi

dabaa dabaa saa sahi dil me pyaar hai ki nahi

jhuki jhuki si nazar


teri ummid pe thukaraa rahaa hun duniyaa ko

tujhe bhi apane pe ye aitabaar hai ki nahi

dabaa dabaa saa sahi dil me pyaar hai ki nahi

jhuki jhuki si nazar



http://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=-J0_ErhbwcI





Friday, September 14, 2012

TINA SANI: BAHAR AAYI [25]





Tina Sani
is a Pakistani female singer renowned for her classical and semi-classical Urdu Ghazals.Tina Sani was born in Dhaka, at the time East Pakistan. She studied in Dhaka before moving to Karachi, where she earned a diploma in design. She was trained in classical music by Ustad Nizamuddin Khan and then by Ustad Amrohvi.Tina Sani began working for an advertising agency in 1977. She was involved in all the creative aspects of advertising business, including listening to and evaluating the music that is an integral part of advertising.

She entered the professional world of singing in 1980, when producer Ishrat Ansari introduced her on TV in a youth programme hosted by Alamgir.
She was influenced by the great ghazal singers of like Malika Pukhraj, Begum Akhtar, Mukhtar Begum and Farida Khanum but has created her own style of singing. She gained much acclaim in Pakistan by singing the poetry of Faiz Ahmed Faiz including such poems as 'Bahaar ki ek shaam' and 'Bol' composed by Arshad Mehmood. She renders poetry of contemporary poets with ease and is equally comfortable singing works of Zauq, Ghalib and Mir Taqi Mir; the immortals of Urdu poetry.
More recently Tina Sani has sung in recordings with the Coke Studio project.
Tina Sani is married and has a son, Nasir Siddiqui (b.1997).The Pride of Performance Award - Government of Pakistan







1. BAHAR AYEE


Bahar aayee
to jaisey yak baar lauT aaye hain phir adum se
woh Khwaab sarey, shabaab sarey
jo terey honToN pe mar miTey they
jo miT ke har baar phir jiye they
nikher gaye haiN gulaaab saarey
jo teri yadoN se mushkboo haiN
jo terey ushaak ka lahoo haiN
bahaar aayee

ubal parey hain azaab sarey
malaal-e-ihbay-e-doastaan bhi
tumharey aaghosh-e-mehvashaan bhi
Ghubar-e-khaatir ke baab sarey
Terey humarey sawaal sarey, jawaab sarey
Bahaar aayee


to khul gaye hain
neye sirrey se hisaab sarey
.neye sirrey se hisaab sarey
bahaar aayee
bahaar aayee




:Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:



http://www.youtube.com/watch?v=nCu1HmYSUrI

http://www.youtube.com/watch?v=p8cZLWWExow



******************************


Spring has come!
So have returned, suddenly from the past,
All those dreams, all that beauty,
That on your lips had died.
That had died and lived again each time.
All the roses are blooming,
That still smell of your memories,
That are the blood of my love for you
Spring has come!

All the torments are raging again,
That unheeded advice of friends,
That intoxication of your embrace.
The dust-ridden old chapters have re-opened,
With all our questions, all our answers.
Spring has come!

So have opened,
All the journals of my love anew
All the journals of my love anew.
Spring has come!
Spring has come!





2. MOORAT [ DRAMA SONG]


Bewafa zamane mainn....
Pyaar dhoondene waaloo..
Bewafa zamane main....
Pyaar dhoondene waaaloo...
Mitti ki moorat main....
Bholi bhaali soorat main....
Pyaar kaisee milta haiiiiii....
Yeh to jaanlo pehleeeeee...
yeh to jaanlo pehleeeeee...

Bewafa zamane mainn...
Pyaar dhoondene waaloo...
Mitti ki moorat main....
Bholi bhaali soorat main....
Pyaar kaisee milta haiiiiii.....
yeh to jaanlo pehleeeeee....
yeh to jaanlo pehleeeeeeee...
Yeh to jaanlo pehleeee....
Yeh to jaaaaaaanlo pehleee....

Ro rahi hain shehnayiii....
Bheed main hai tanhaiii...
Ro rahi hain shehnayiii
Bheed main hai tanhayiii...
Ro ke nahi roekte hai....
Kab khalab hojayeee....

Hmmmmm.....Rishte Kache dhaage hainnnn....
Yeh to maanlo pehlee.....(hihi)yeh to maanlo pehleee..
Yeh to maanlo pehleee....yeh to maaaaanlo pehle....

Be naam logo keeeee...Kitne naam hote hainn...
Be naam logo keee....Kitne naam hote hain..
Yeh bhi uski qudrat haii...kesse kaam hotee hain....
Hmmmmm...Kyu yeh aise hota haiiiii....
yeh to jaanlo pehleeee...yeh to jaanlo pehle...
yeh to jaanlo pehlee...yeh to jaaaanloo pehle....

Bewafa zamane main....
Pyaar dhoondene waaloo....
Mitti ki moorat main...
Bholi bhali soorat main...
pyaar kese mitla haiiiiii...
Yeh to jaanlo pehleee....yeh jaanlo pehle...
yeh to jaanlo pehleee...



:Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:


http://www.youtube.com/watch?v=M3_mtNf4SEk


3. YE DIL YE PAHAL MERA


ye dil, ye paagal dil meraa, kyo.n bujha gayaa,
aavaaragii is dasht me.n ik shahar thaa,
vo kyaa huaa, aavaaragii  kal shab mujhe be\-shakl sii,
aavaaz ne chau.Nkaa diyaa mai.nne kahaa tuu kaun hai,
usane kahaa, aavaaragii  ik tuu ki sadiyo.n se,
 mere ham\-raah bhii ham\-raaz bhii ik mai.
n ki tere naam se na\-aashnaa, aavaaragii  
ye dard kii tanahaaiyaa.N, ye dasht kaa viiraa.n
safar ham log to uktaa gaye apanii sunaa,
aavaaragii  ik ajanabii jho.nke ne puuchhaa,
mere Gam kaa sabab saharaa kii bhiigii ret
mai.nne likhaa, aavaaragii  le ab to dasht\-e\-shab kii,
saarii vus'ate.n sone lagii.
n ab jaaganaa hogaa hame.n kab tak bataa,
aavaaragii    kal raat tanahaa chaa.Nd ko,
dekhaa thaa mai.nne Kvaab me.n 'mohsin' mujhe
raas aayegii shaayad sadaa, aavaaragii  



:Copy paste this URL  below on your browser for viewing  Video:

http://www.youtube.com/watch?v=TwgePhn9Vlo                   [ALT.]  
4. NAWAI NE


Sunn kay ney kehti hai apni daastaan
Dard-e-hijran say hui hai noha-khwan
Kaat kar laye ney-sitaan say yahaan
Kaat kar laye ney-sitaan say yahaan
Mard-o-zann meri nawa say khoonch-kaan
Jo bhi apni asal say hoga judaa
Hoga vasl-e-khish uss ka muddaa
Yeh nawai ney…
Yeh nawai ney ussi kay dam say hai
Zindagi ki leh ussi kay dam say hai
Zindagi ki leh ussi kay dam say hai


:Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:


http://www.youtube.com/watch?v=1yqD4rns_jY

***************
Listen to the reed flute
How it tells a tale complaining of separation
Saying, "Ever since I was separated from the reed bed
Saying, "Ever since I was separated from the reed bed
my lament has caused man and woman to moan
I want a bosom torn by severance
that I may unfold the pain of love desire
'Tis the fire of Love that is in the reed
'Tis the fervour of Love that is in the wine
'Tis the fervour of Love that is in the wine


5. DASHT-E-TANHAAYI MEIN..



Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...

Teri aawaaz ke saaye...
Tere honthon ke seraab..
Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...
Teri aawaaz ke saaye...
Tere honthon ke seraab...

Dasht-e-tanhaayi mein...
Doori ke khas-o-khaag tale...
Khil rahe hain tere pehlu ke samen aur gulaab...
Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...
Dasht-e-tanhaayi mein...

Uth rahi hai kahin qurbat se...
Teri saans ki aanch...
Apni khushboo mein sulaghti hui...
Maddham, maddham...
Door ufaq paar chamakti hui..

qatra qatra...
Mil rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam...

Dasht-e-tanhaayi mein..
Aye jaan-e-jahan larzaan hai...
Dasht-e-tanhaayi mein...

Is qadar pyaar se...
Aye jaan-e-jahaan rakkha hai...
Dil ke rukhsaar pe is waqt...

Teri yaad ne haath..
Yunh ghumaan hota hai...
Garje hai abhi subh-e-firaaq...
Dhal gaya hijr ka din...
Aaa bhi gayi wasl-ki-raat...

Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahan larzaan hai...
Teri aawaaz ke saaye..
Tere honthon ke seraab...


:Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:


http://www.youtube.com/watch?v=0yNqGA4ZsRk



6. MORI ARAJ SUNO




Mori araj suno, dastagir pir
Mairee kahun kaa say mein apnay jiya ki pir
Mori araj suno, dastagir pir
Rabba sachiya, toon tay akhia see
Ja oye bandiya jug da shah ain tu
Saadian nemataan terian daulataan nenh
Saada naib the alijah ain tu
Ais laaray teh torr kudh puchia eh
Kee ais nimanay teh beetiyaan nenh
Kaddi saar we layee o rab saiyaan
Terey shah naal jugh kee kitiyan nenh
Kithay dhons police sarkar dee eh
Kithay dhandhli maal patwaar di eh
Ainj hadaan wich kalpay jaan meri
Jeevain phahee ich koonj kurlaundi eh
Changa shah banayaee rab saiyaan
Paulay khaandayaan waar na aundi eh
Mainu shahi naeen chaidi rab meray
Mein tay izzat da tukkar mangna haan
Meinu taang naeen mehlaan maraiaan di
Mein tay jeevain di nukkar mangnaa haan
Meri mannain tay tairian main mannan
Teri sohn jay ik wi gal mora
Jey ay maang nai pujdi tain rabba
Fayr main jawan teh rab koi hor loraan
Mori araj suno, dastagir pir


(repeat)

Arieb Azhar:
Iss surat seh
Arz sunatay
Dard batatay
Nayya khaitay
Minnat kartay
Rasta taktay
Kitni sadiyaan beet gai hain
Ab jakar yeh bhaid khulla hai
Jis koh tum ne arz guzari
Jo tha haat pakarnay waala
Jis jaag laagi nao tumhaari
Jis say dukh ka daaroo manga
Toray mandir may joh nahin aaya
Woh to tum heen thay
Woh to tum heen thay



:Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:



http://www.youtube.com/watch?v=l-sZOGBTgcs

************************




O my Lord, pay heed to my appeal

(repeat)
I am a faithful follower of my Creator

O my Lord, pay heed to my appeal
My true Lord, you had said
“Go man, you are master of the world
My bounties on earth are your treasure
You are the viceroy of your Creator”
After baiting me with these promises
Countless years have passed by
Countless years have passed by
What your man has suffered in this world?

Somewhere, those in power and with the means
intimidate, harass and terrorize
Elsewhere, draft and bribery are rampant
My soul is shaken down to my bone
Just like a bird flutters when caught in a trap
You made a fine king indeed, my sweet lord
All I have gotten are endless beatings
I don’t want kingship, my Lord
All I need is a morsel of respect
I have no desire to live in palaces
I just want a small nook to live my life

If you agree with me, I will agree with you

I won’t decline anything no matter how unreasonable

If you don’t look out for me God!
Then I should go and seek for myself another god

O my lord, pay heed to my appeal
With this grimace
Pleading
Sharing the pain
Rowing the boat

Asking for his blessings
Waiting expectantly

Countless centuries have passed by

Only now has it been revealed

The one who you had appealed to
The one who held your hand and guided you
Where your boat had docked
From whom you had asked for a panacea for your pain

The one who did not visit your temple

It was you only It was you only







7. THIS URL WILL LEAD TO THE SONGS, AS LYRICS ARE NOT AVAILABLE

http://www.dhingana.com/hindi/tina-sani-collection-songs-ghazals-24045d1


8. MORE VIDEOS WITHOUT LYRICS>>>


Copy paste this URL below on your browser for viewing Video:




http://www.youtube.com/watch?v=Uk999XIcgxY&feature=related



http://www.youtube.com/watch?v=5zI_AgDTtoA&feature=related


http://www.youtube.com/watch?v=mXOH7kWviuU&feature=related


http://www.youtube.com/watch?v=wjfy9yIXCi4&feature=related