Tuesday, May 14, 2013

JAGJIT SINGH FAVOURITES



           




1.     DIL KAHIN HOSH KAHIN



Dil Kahin Hosh Kahin

Aayina Dekh Ke Bole,
Yeh Savarne Wale,
Ab To Bemaut Marenge,
Mere Marne Wale,

Dekh Ke Tumko,
Hosh Mein Aana,
Bhool Gaye,
Yaad Rahe Tum,
Aur Jamana Bhool Gaye,

Jab Samne Tum, Aa Jate Ho,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,
Kuch Mil Jata Hai,
Kuch Kho Jata Hai,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,

Chaha Tha Yeh Kahege,
Socha Tha Who Kahege,
Aaye Who Samne To,
Kuch Bhi Na Keh Sake Bas,
Dekha Kiye Unhe Hum,
Dekh Kar Tum Ko Yakin Hota Hai,
Koi Itna Bhi Haseen Hota Hai,
Dekh Pate Hai Kaha Hum Tumko,
Dil Kahi Hosh Kahi Hota Hai,

Aa Kar Chale Na Jana,
Ayese Nahi Satana,
Dekar Hasee Laboo Ko,
Aakho Ko Mat Rulana,

Dena Na Bekarari,
Dil Ka Karar Ban Ke,
Yaado Mein Kho Na Jana,
Tum Intajar Banke,

Bhool Kar Tumko Na Jee Payege,
Saath Tum Dogi Jaha Hum Jayege,
Hum Koi Waqt Nahi Hai Humdum,
Jab Bulaoge Chale Aayege.

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=TmfFp3SIurU



2.    Ek Baar Kaho

Koi Kesu, Koi Aachal Hame Aawaj Na De,
Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaj Na De,

Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame,
Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaj Na De,

Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hame Kya Kijye,
Di Sada Husn Ki Janat Ne Hame Kya Kijye,

Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hame Dar Lagta Tha,
Choo Liya Akhir Usey Hasrat Me Kya Kijye,

Hamne Jasbat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Raas Ayena Kabhi Pyar Ke Halat Hame,
Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hui Mat Hame,

Kya Karenge Kaha Jayenge Kidhar Jayenge,
De Gayi Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hame,

Bas Isi Soch Ne Hame Devana Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai.

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=BWCa-b8wdSQ


 3.      Aap Ko Pehle Bhi Kahi Dekha Hai

Aisi Aankhein Nahi Dekhi, Aisa Kajal Nahi Dekha,
Aisa Jalwa Nahi Dekha, Aisa Chera Nahi Dekha,

Jab Yeh Daman Ki Hawa Ne, Aag Jungle Mein Laga De,
Jab Yeh Sherao Mein Jaye, Ret Mein Phool Khilaye,

Aisi Duniya Nahi Dekhi, Aisa Manjar Nahi Dekha,
Aisa Alam Nahi Dekha, Aisa Dilbar Nahi Dekha,

Us Ke Kangan Ka Khadakna, Jaisa Bul Bul Ka Chakna,
Us Ki Pajeb Ki Cham Cham, Jaise Barsatt Ka Mausam,

Aisa Sawan Nahi Dekha, Aisi Barish Nahi Dekhi,
Aisi Rim Jhim Nahi Dekhi, Aisi Khawaish Nahi Dekhi,

Us Ki Bewaqt Ki Batey, Jaise Sardi Ki Ho Raatey,
Uf Yeh Tanhai, Yeh Masti, Jaise Tufan Mein Kashti,

Mithi Koyal Si Hai Boli, Jaise Gito Ki Rangoli,
Surkh Galo Par Pasina, Jaise Fagun Ka Mahina

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=J930xJuNOv8



4.   Close to My Heart

Dukhi Man Mere, Sun Mera Kehna,
Jaha Nahi Chaina, Waha Nahi Rehna,

Dard Hamara Koi Na Jane,
Apni Garaj Ke Sab Hai Deewane,

Kis Ke Aage Rona Roye,
Desh Paraya Log Begane,

Lakh Yaha Jholi Phaila Le,
Kuch Nahi Denge Yeh Jag Wale,

Patthar Ke Dil Mom Na Honge,
Chahe Jitna Neer Bha Le


CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=33CuTLbDuXM

5. Close to My Heart

Jane Who Kaise Log The,
Jinke Pyar Ko Pyar Mila,

Humne To Jab Kaliya Mangi,
Kanto Ka Har Mila,

Khushiyo Ki Manjil Dhundi To,
Gum Ki Dard Mili,

Chahat Ke Nagme Chahe To,
Aanhe Sard Mili,

Dil Ke Bojh Ko Dugna Kar Gaya,
Jo Gum Par Mila,

Bichad Gaya Har Saathi De Kar,
Par Do Pal Ka Saath,

Kis Ko Phursat Hai Jo Thame,
Deewane Ka Haath,

Hum Ko To Apna Saaya,
Aksar Bezar Mila,

Is Ko Hi Jina Kahte Hai To,
Yuh Hi Ji Lege,

Uf Na Karenge Lab Se,
Yuh Hi Ansu Pi Lenge,

Gum Se Ab Ghabrana Kaisa,
Gum Soo Bar Mila


CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=JFAZYcYrsrg


6.        TERI DUNIYA MEIN JEENE SE



 Teri Duniya Mein Jeene Se,
To Behtar Hai Ke Mar Jaaye,

Wahi Ansu Wahi Aankhe,
Wahi Gum Hai Kidhar Jaaye,

Koi To Aisa Ghar Hoga,
Jaha Se Pyaar Mil Jata,

Wahi Begane Chere Hai,
Jaha Phuche Jidhar Jaye,

Are O Asma Wale Bata,
Isme Bura Kya Hai,

Kushi Ke Chaar Jhoke Agar,
Idhar Se Jo Guzar Jaye

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO


http://www.youtube.com/watch?v=SacC7CePYmk


7.     EK PYAR KA NAMA HAI MOJO KI RAWANI HAI


Ek Pyaar Ka Naghma Hai, Mojo Ki Rawani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai,

Kuch Pakar Khona Hai, Kuch Kho Kar Pana Hai,
Jeewan Ka Matlab To, Aana Aur Jana Hai,

Do Pal Ke Jeewan Se, Ek Umr Churani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai,

Tu Dhar Hai Nadiya Ki, Main Tera Kinara Hu,
Tu Mera Sahara Hai, Main Tera Sahara Hu,

Aankho Mein Samandar Hai, Aashao Ka Pani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO


http://www.youtube.com/watch?v=VOFKM8nbr-I


8.        YEH NAYAN DARE DARE  YAH JAAM BHARE BHARE



Yeh Nayan Dare Dare, Yah Jaam Bhare Bhare,
Mujhe Pine Do, Kal Ki Kise Khabar,
Ek Raat Ruke Idhar, Mujhe Jine Do,

Raat Hansi Yeh Chand Hansi,
Tu Sabse Hansi Mera Dilbar,
Aur Tuzse Hansi Tera Pyar,
Tu Jane Na,

Pyar Mein Hai Jeevan Ki Khushi,
Deti Hai Khushi Kayi Gum Bhi,
Main Maan Bhi Lu, Kabhi Haar,
Tu Mane Na

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=_tQTO1wEPis&list=PL8ED58B01A5496AFD


9.        TUMNE SOOLI PE LATAKTE DEKHA HOGA

Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga


CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO


http://www.youtube.com/watch?v=4sLQ5H0xc9s 


10.       JAWAN HAI RAAT SAKIYA SHARAAB LA SHARAAB LA


Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
Zara Si Pyaas To Bujha Sharaab La Sharaab La

Tere Shabab Par Sada Karam Rahe Bahaar Ka
Tujhe Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
Mitaa De Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO


http://www.youtube.com/watch?v=eOxrp6XV2T0


11.     MERE JAISE BAN JAOGE JAB ISHQ

Mere Jaise Ban Jaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Diwaron Se Takraaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

Har Baat Gawaara Kar Loge Mannat Bhi Ukara Loge
Tabeejen Bhi Bandhwaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

Tanhaayee Ke Jhoole Jhoologe Har Baat Puraani Bhoologe
Aayine Se Ghabraoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

Jab Sooraj Bhi Kho Jaayega Aur Chaand Kahin So Jaayega
Tum Bhi Ghar Der Se Aaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

Bechaini Jab Badh Jaayegi Aur Yaad Kisi Ki Aayegi
Tum Meri Ghazalen Gaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega


CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=TMRbRJQHn0A


12         GHAM MUJHE HASRAT MUJHE

Gham Mujhe Hasrat Mujhe Wehsat Mujhe Sauda Mujhe
Ek Dil Dekar Kuhda Ne De Diya Kya Kya Mujhe

Ye Namaz-e-ishq Hai Kaisa Adab Kiska Adab
Apne Paaye Naaz Par Karne Bhi Do Sazda Mujhe

Dekhte Hi Dekte Duniya Se Main Uth Jaaoonga
Dekhti Ki Dekhti Reh Jaayegi Duniya Mujhe 

CLICK/  COPY PASTE THE LINK BELOW ON YOUR BROWSER FOR VIDEO

http://www.youtube.com/watch?v=KEmpHXc-M-s


RAHAT FATEH ALI KHAN:/ NOORJAHAN GHAZALS


                     




1.    ZINDAGI YEH SAFAR MEIN HAI



Hmmm Hmmmmm Hm Hm 
Hmmm Hmmmmm Hm Hm 
(Zindagi Yeh Safar Mein Hai, Kat Raha Hai Rasta) - 2
(Hum Safar To Hai Magar, Manzileee Hai Juda Juda) - 2
(Zindagi Yeh Safar Mein Hai, Kat Raha Hai Rasta) - 2
(Hum Safar To Hai Magar, Manzileee Hai Juda Juda) - 2

Hmmm Hmmmmm Hm Hm 
Hmmm Hmmmmm Hm Hm 
Aansuno Ki Dhoop Mein..., Koi Chal Raha Idhar..
Aansuno Ki Dhoop Mein, Koi Chal Raha Idhar
Kehkhaho Ki Chau Mein, Koi Chal Raha Udhar
(Koi Kisi Se Gum Hua, Koi Kisi Ko Mil Gaya) - 2
(Hum Safar To Hai Magar, Manzileee Hai Juda Juda) - 2
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Ni Pa Ni Pa Ni, Pa Ni Pa Ni Sa
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Sa Ni Ni Sa, Ni Sa Ni Sa, Sa Re Re Re
Sa Re Re Pa Re Re, Ma Re Re Sa

Hai Milan Ki Chahtein..., Fasle Hai Darminyan..
Hai Milan Ki Chahtein, Fasle Hai Darminyan
Dhakane To Ek Hai, Phir Bhi Hai Yehj Dooriyan 
(Koi Kisi Ko Hai Chahata, Koi Kisi Se Hai Khafa) - 2
(Hum Safar To Hai Magar, Manzileee Hai Juda Juda) - 2
(Zindagi Yeh Safar Mein Hai, Kat Raha Hai Rasta ) - 2
(Hum Safar To Hai Magar, Manzileee Hai Juda Juda) - 2


http://www.youtube.com/watch?v=T1RbeAdNf4E


  2.   CHARKHA  [2008]  TERE BINA KAHIN NAHI LAAGE DIL MERA

tere bina kahin nahi laage dil mera - (3) (raat ka mehaka dhunwa kho gaya jaane kaha tere bina kahin nahi laage dil mera - (2)) - (2) yeh chaahato ka sama pyaar karne ki rut ho rahi hai jawa tu jo nahi saathiya dil tutake ro diya main bhala kya kahu aankh chhalaki hai kyun raat ka mehaka dhunwa kho gaya jaane kaha tere bina kahin nahi laage dil mera - (2) bikhare huye rang hai jhum le yaar jinake yaha sang hai jine se ji bhar gaya, jaane tu kya kar gaya nind aati nahi jaan jaati nahi raat ka mehaka dhunwa kho gaya jaane kaha tere bina kahin nahi laage dil mera - (2) tere bina kahin nahi laage dil mera tere bin, tere bin manwa laage naahi manwa tere bin, tere bin laage manwa na tere bin, tere bin manwa manwa manwa naahi laage re manwa manwa naahi laage re mora manwa naahi laage re mora manwa tere bin tere bina -2 mora manwa nahi laage nahi laage nahi laage re tere bin (mora manwa naahi laage re)

http://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=xVuA6C7pByI




 3.   AFREEN.... HUSN-E-JANA KEE TARIF MUMKIN NAHEE 

   
(husn-e-jana kee tarif mumkin nahee afreen afreen afreen afreen too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi afreen afreen afreen afreen) - (2) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2) aisa dekha nahee khubsurat koyi jism jaise ajanta kee murat koyi jism jaise nigaho pe jadu koyi jism naghma koyi, jism khushbu koyi jism jaise machalti huyi ragini jism jaise mehkati huyi chandni jism jaise ke khilta huwa ek chaman jism jaise ke suraj kee pehli kiran jism tarsha huwa dikasho dilnashi sandali sandali marmari marmari - (2) afreen afreen afreen - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2) chehra ek phul kee tarah shadab hai chehra usaka hai, ya koyi mehtab hai chehra jaise ghazal, chehra janey ghazal chehra jaise kali, chehra jaise kanval chehra jaise tasavar bhee, tasveer bhee chehra ek khawab bhee, chehra tabeer bhee chehra koyi alif laila kee dastan chehra ek pal yakin, chehra ek pal guman chehra jaisa ke chehra kahee bhee nahee mahru mahru mehjabin mehjabin - (2) afreen afreen afreen - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2) ankhen dekhi toh mai dekhta rah gaya jam du ore dono hee du atesha ankhen ya makadi ki du bab hain ankhen inako kahu, ya kahu khawab hain ankhen niche huyi toh haya ban gayi ankhen unchi huyi toh duwa ban gayi ankhen uthakar jhuki to ada ban gayi ankhen jhukakar uthi toh kada ban gayi ankhen jinme hain asman aur jamin nargisi nargisi surmayi surmayi - (2) afreen afreen afreen - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2) julf-e-jana kee bhee lambi hai dastan julf kee mare dil par hai perchayiya julf jaise ke umadi huyi ho ghata julf jaise ke ho koyi kali bala julf uljhi toh dooniya pareshan ho julf suljhi to yeh did asan ho julf bikhri siyah rat chane lagi julf lehraye toh rat jane lagi julf zanjeer hai phir bhee hai kitni hasin rashmi rashmi ambari ambari - (2) afreen afreen afreen - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee afreen afreen afreeeen afreeen too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi afreen afreen afreen afreen husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (4)



http://www.youtube.com/watch?feature=player_embedded&v=Bljn3T9NwOk






4.  NOORJAHAN:     MAIN TERE SANG KAISE CHALOON SAJNA



Main tere sang kaise chaloon sajna
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise chaloon sajna
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise chaloon sajna

Tu mera haath haathon main leke chale
Meherbani teri
Teri aahat se dil ka dareecha khule
Main deewani teri
Main deewani teri
Tu ghubaar-e-safar
Main hizaan ki sadaa
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise...

Tu bahaaron ki khushbu bhari shaam hai
Main sitaara tera
Ho zindagi ki zamaanat tera naam hai
Tu sahaara mera
Tu sahaara mera
Maine saari khudaayi main tujhko chunaa
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise...

Tum chalo tu sitaaray bhi chalne lagen
Aansouon ki tarah
Khaab pe khaab aankhon main jalne lage
Aarzoo ki tarha
Aarzoo ki tarha
Teri manzil bane mera har raasta
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise chaloon sajna
Tu samandar hai main saahilon ki hawa
Main tere sang kaise...


http://www.sangeethouse.com/jukebox.php?songid=4544