Wednesday, June 25, 2014

GHULAM ALI: MORE GHAZALS




Native name استاد غلام علی
Years active 1960–present
Native nameاستاد غلام علی
Born5 December 1940 (age 74)
Kaleki, Sialkot District
Pakistan
Genresghazal
Occupation(s)singer
Instrumentsharmonium
Years active1960–present

Ustad Ghulam Ali (born 5 December 1940) is a Pakistani ghazal singer of the Patiala gharana . He is not to be confused with the Indian singer Bade Ghulam Ali Khan (of whom he was a disciple) or Chhote Ghulam Ali, who is another Pakistani singer in the Qual Bachon Gharana.

Ghulam Ali is considered as one of the best ghazal singers of his era. His style and variations in singing Ghazals has been noted as unique, as he blended Hindustani classical music with ghazals, unlike any other Ghazal singer. Highly popular in Pakistan, India, Nepal, Bangladesh, as well as amongst South Asian diaspora in the USA, the UK and the Middle Eastern Countries. Many of his hit ghazals have been used in Bollywood movies. His famous ghazals are Chupke Chupke Raat Din, Kal Chaudhvin Ki Raat Thi, Hungama Hai Kyon Barpa, Kiya Hai Pyar Jisé, May Nazar Sé Pee Rahahoon, Mastana Peeyé, Yé dil yé pagal dil, Apni Dhoon Mein, His recent album "Hasratein" was nominated in the Best Ghazal Album category at Gima 2014.



1.  KABHI KITABON MEIN PHOOL REKHA

Kabhi kitaabon mein phool rakhna,

Kabhi darakhton pe naam likhna….
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Humein bhi hai yaad aaj tak wo,
Najar se harfe salaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….

Wo chaand chehre wo beheki baatein,

Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chaand chehre wo beheki baatein,
Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chaand chehre wo beheki baatein,
Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chote chote se kaagazon par,
Mohobaton ke payaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….

Gulaab chehron se dil lagana,

Wo chup ke chup ke nazar milana….
Gulaab chehron se dil lagana,
Wo chup ke chup ke nazar milana….
Gulaab chehron se dil lagana,
Wo chup ke chup ke nazar milana….
Wo aarzuon ke khaab bunna,
Wo kissa-e-na tamaam likhna….
Wo aarzuon ke khaab bunna,
Wo kissa-e-na tamaam likhna….
Gayi ruton mein hasan humara,
Bus ek hi to ye masgalaa tha….
Gayi ruton mein hasan humara,
Bus ek hi to ye masgalaa tha….

Gayi ruton mein hasan humara,

Bus ek hi to ye masgalaa tha….
Kisi ke chehre ko subho kehna,

https://www.youtube.com/watch?v=fOT-Boaqsog


2.  YEH DIL PAAGAL DIL MERA



ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya

main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

yeh dard ki tanhhaiyan yeh dasht ka veran safar 

hum log to uqtaa gaye apni suna aawargi

loagon bhala us shehar kaise jeyain hum 

jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab

sahara ki bheegi rait par main ne likha aawargi

kal ratt tanha chand ko dekha tha main ne khawab main

mohsin mujhay rass aye gi shayad sada aawargi 
Kisi ki julfon ko shaam likhna…
Kisi ke chehre ko subho kehna,
Kisi ki julfon ko shaam likhna…
Humein bhi hai yaad aaj tak wo,
Najar se harfe salaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,


3.  HANGAMA HAI KYUN



prelude

ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahi
varanaa mai kuchh bhi hun ehasaan-faraamosh nahi
 live in india version starts from here
mai teri mast-nigaahi kaa bharam rakh lungaa
hosh aayaa bhi to kah dungaa mujhe hosh nahi

hagaamaa hai kyun barapaa thodi si jo pi li hai

daakaa to nahi daalaa chori to nahi ki hai

us may se nahi matalab dil jisase ho begaanaa

makasud hai us may se dil hi me jo khichati hai

suraj me lage dhabbaa fitarat ke karishme hai

but hamako kahe khaafir allaah ki marzi hai

naatajurbaakaari se vaa_iz ki ye baate hai

is rag ko kyaa jaane puchho jo kabhi pi hai

waan dil me ki sadame do, yaan ji me ki sab sah lo

unakaa bhi ajab dil hai, meraa bhi ajab ji hai

har zarraa chamakataa hai anawaar-e-ilaahi se

har saans ye kahati hai ham hai to khudaa bhi hai

 the following was not in the versions i heard


e shauq wahi may pi ai hosh zaraa so jaa

mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai

https://www.youtube.com/watch?v=5xfmDeuJchk



4. SHAM KE WAKT JAM YAD AAYA



sham ke wakt jam yad aaya

kitana dilchasp kam yad aaya

jab bhee dekha koi hasin chehara

mujhako teraa salam yad aaya

sunake kisse kuda kee ajmat ke

aadami ka makam yad aaya

bansaree kee nava ko tej karo

aaj radha ko shyam yad aaya

sahane masjid me bhee hame mohasin

maiakade ka kayam yad aaya


https://www.youtube.com/watch?v=TJPQEd1LfJg



5..  MAHFIL ME BAAR BAAR KISEE PAR NAJAR GAYEE




(mahafil me bar bar kisee par najar gayee

hamne bachayee lakh magar phir udhar gayee

unakee najar me koyee jadu jurur hai

jis par padee usike jigar tak utar gayee

uss bewafa kee aankh se aansu chhalak pade

hasarat bharee nigah bada kam kar gayee

unake jamale ruk pe unhee ka jamal tha

woh chal diye toh raunake shamo sahar gayee

unako kabar karo ke hai bismil karibe marg

woh aayenge jurur jo unn tak kabar gayee


https://www.youtube.com/watch?v=0-KftRv1-fU



6.  DILON KO TODANE WAALO TUMHEN KISI SE KYA MILO




dilo ko todane waalo tumhe kisi se kyaa

milo to aankh churaa lo tumhe kisi se kyaa

mujhe khud apani nazar me banaa ke begaanaa

jahaan ko apanaa banaa lo tumhe kisi se kyaa

nazar bachaa ke guzar jaa_o meri turbat se

kisi pe khaak na daalo tumhe kisi se kyaa

hamaari larazish-e-paa kaa khayaal kyun hai tumhe

tum apani chaal sambhaalo tumhe kisi se kyaa


https://www.youtube.com/watch?v=yNhDZJnPnXk



7.  CHUPKE CHUPKE RAAT DIN


chupke chupke rat din ansu bahana yad hai 

chupke chupke rat din ansu bahana yad hai 
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai

khench le na woh mera parde ka kona daffatan

khench le na woh mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera woh munh chhupana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai

dopehar kee dhup me mere bulane ke liye 

dopehar kee dhup me mere bulane ke liye 
woh tera kothe pe nange panv ana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai

https://www.youtube.com/watch?v=38_AJgdtXm4



8. HAMNE HASARATO KE DAG AANSUO SE DHO LIYE



hamne hasrato ke dag aansuo se dho liye

aapkee khushee hujur boliye naa boliye

kya hasin kar the jo meree nigah ne

sadagee se baraha ruh me chubho liye

mausam-e-bahar hai ambarin khumar hai

kiska intajar hai kesuon ko kholiye

jindagee kaa rasta katana toh tha adam

jag uthe toh chal diye thak gaye toh so liye

https://www.youtube.com/watch?v=4XBph1Sj6ZY



9.  : EK TO CHEHARAA AISAA HO




ek to cheharaa aisaa ho

mere liye jo sajataa ho

shaam dhale ek darawaazaa

raah meri bhi takataa ho

meraa dukh wo samajhegaa

meri tarah jo tanahaa ho

ek suhaanaa mustakabil

khaab saa jaise dekhaa ho

ab 'shahazaad' wo dipak hai

jo tufaan me jalataa ho

https://www.youtube.com/watch?v=v-IDa6ZoR4k




10  APANI TAZVEER KOAANKHON SE LAGAATA KYA HAI



apani tasvir ko aankhon se lagaata kya hai
ik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai

meri rusvaayi mein wo bhi hain baraabar ke shariq

mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai

paas rah kar bhi na pchchaan saka tu mujhko

duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

umr bhar apane girebaan se ulajhane waale

tu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai

main tera kuchh bhi nahin huun magar itana to bata

dekh kar mujhako tere zahan mein aata kya hai

safar-e-shauq mein kyuun kaanpate hain paanv tere

duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karam

bujh gayi bazm to ab shamma jalaata kya hai



https://www.youtube.com/watch?v=WbxvrFGryOw


Monday, May 5, 2014

PANKAJ UDHAS: CHITHI AYEE HAI AAI HAI [7]







                              PANKAJ UDHAS

Pankaj Udhas is an Indian singer, in the Indian music industry, along with other musicians like Jagjit Singh and Talat Aziz, with bringing the Ghazal style to the realm of popular music. Udhas rose to fame for singing in the 1986 film Naam, in which his song "Chitthi Aayee Hai" became an instant hit. Following that, he has also performed as a playback singer for numerous films. He has recorded many albums since then and tours the world as an accomplished ghazal singer. In 2006, Pankaj Udhas was awarded the Padma Shri, India's fourth highest civilian award


 GHAZALS:

1.   DIVARO SE MILKAR RONA ACHCHAA LAGATE HAIN



(divaro se milkar rona achha lagata hain
ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain) - (2)
divaro se

duniya bhar kee yaade hamse milane aatee hain - (2)
shaam dhale iss sune ghar me mela lagata hain - (2)
ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
divaro se

kitne dino ke pyaase honge yaaro socho toh - (2)
shabnam kaa katara bhee jinko daraya lagata hain - (2)
ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
divaro se

kisko kaisar pathhar maro kaun paraaya hain - (2)
shish mehal me ik ik chehara apna lagata hain - (2)
ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
divaro se milkar rona achha lagata hain
ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
divaro se


https://www.youtube.com/watch?v=V6jlbOo-Q2A



ALBUM:   RANJISH- PANKAJ UDHAS

LYRICS:    QUAISER-UL- JAAFRI

SINGER: PANKAJ UDHAS


2.   NIKALO NAA BENAKAAB JAMANA

be parda najar aayee jo kal chand biviya
akbar jamin me gairat konee se gad gaya
pucha jo maine aapka parda woh kya huva
kehane lagee ke akal par mardo ke pad gaya
nikalo naa benakab
niklo naa benakab jamana kharab hai - (2)
aur usape yeh shabab jamana kharab hai
niklo naa benakab jamana kharab hai

sab kuchh hame khabar hai nasihat naa kijiye - (4)
kya honge ham kharab jamana kharab hai - (2)
aur usape yeh shabab jamana kharab hai
niklo naa benakab jamana kharab hai

matalab chhupa huva hai yaha har sawal me - (4)
do sochkar jawab jamana kharab hai - (2)
aur usape yeh shabab jamana kharab hai
niklo naa benakab jamana kharab hai

rashid tum aa gaye ho naa aakhir fareb me - (4)
kehate naa the janab jamana kharab hai - (2)
(aur usape yeh shabab jamana kharab hai
niklo naa benakab jamana kharab hai) - (2)
jamana kharab hai - (4)


https://www.youtube.com/watch?v=YmEQfdZTgZ0




3.      TERE NIGAH SE AISEE SHARAAB

teree nigaah se aisee sharaab pee maine
kee phir naa hosh kaa dava kiya kabhee maine
woh aur honge jinhe maut aa gayee hogee
nigaahe yaar se paayee hai jindagee maine

ai game jindagee -2 kuchh toh de mashwara - (2)
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)
mai kaha jaau hota nahee faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)

(ek taraf bam par koyee gulphaam hai
ek taraf mehfile bada-o-jaam hai) - (2)
dil kaa dono se hai kuchh naa kuchh hai vaasta
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)

(usake dar se utha toh kidhar jaaunga
maikada chhod dunga toh mai marr jaaunga) - (3)
sakht mushkil me hu kya karu ai khuda
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)

(jindagee ek hai aur talabgar do jan
akelee magar jaan ke hakdaar do) - (2)
dil bata pehele kiska karu hak ada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)

(iss taaluk ko mai kaise todu jafar
kisko apanaau mai kisko chhodu jafar) - (3)
meraa dono se rishta hai najdik kaa
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)

ai game jindagee -2 kuchh toh de mashwara - (2)
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)
mai kaha jaau hota nahee faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - (2)


https://www.youtube.com/watch?v=TAdeUWjwIMo


4.    CHITHI AYEE HAI AAI HAI

chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai


upar mera nam likha hai, 
andar ye paigam likha hai
o parades ko jane vale, 
laut ke phir na ane vale
sat samudar paar gaya tu
hamko zinda mar gaya tu
khun ke rishte tod gaya tu 
ankh me aansu chod gaya tu
kam khaate hai kam sote hai 
bahut zyada ham rote hai  
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai

suni ho gai shahar ki galiya
kante ban gai bag ki kaliya
kahate hai savan ke jhule 
bhul gaya tu ham nahi bhule
tere bin jab aai divali, 
dip nahi dil jale hai khali
tere bin jab aai holi, 
pichakari se chhuti goli
pipal suna panaghat suna ghar 
shamashan ka bana namuna
fasal kati aai baisakhi 
tera aana rah gaya baki
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai

pahle jab tu khat likhta tha 
kaagaz me chehara dikhata tha
band hua ye mel bhi ab to
khatam hua ye khel bhi ab to
doli me jab baithi bahana 
rasta dekh rahe the naina
mai to bap hun mera kya hai 
teri maa ka hal bura hai
teri bivi karti hai seva 
surat se lagati hai beva
tune paisa bahut kamaya 
is paise ne desh chhudaya
desh paraya chhod ke aaja
panchi pinjara tod ke aaja 
desh paraya chhod ke aaja
panchi pinjara tod ke aaja 
aaja umar bahut hai choti
apane ghar me bhi hai roti

chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai 
chithi aai hai aai hai 
chithi aai hai 
chithi hai vatan se chithi aayi hai
bade dino ke bad, ham bevatano ko yad
vatan ki mitti aai hai, chithi aai hai 

https://www.youtube.com/watch?v=QjrZOMaiP_Q


MOVIE:  NAAM  [1986]
LYRICS:  ANAND BAKSHI
MUSIC:    LAXMIKANT PYARELAL


5.    CHANDI JAISA HAI TERAA  SONE JAISA BAAL

chaandi jaisaa rag hai teraa sone jaise baal
ik tu hi dhanavaan hai gori baaki sab kagaal

jis raste se tu gujare vo phulo se bhar jaaye (2)
tere pair ki komal aahat sote bhaag jagaaye
jo patthar to chhu le gori vo hiraa ban jaaye
tu jisako mil jaaye vo
tu jisako mil jaaye vo ho jaaye maalaamaal
ik tu hi dhanavaan hai gori baaki sab kagaal

jo berag hai usape kyaa kyaa rag jamaate log (2)
tu naadaan na jaane kaise rup churaate log
nazare ji ji bhar ke dekhe aate jaate log
chhail chhabili raani thodaa
chhail chhabili raani thodaa ghunghat aur nikaal
ik tu hi dhanavaan hai gori baaki sab kagaal

ghanak ghataa kaliyaan aur taare sab hai teraa rup (2)
gazale ho yaa git ho mere sab me teraa rup
yun hi chamakati rahe hameshaa tere husn ki dhup
tujhe nazar naa lage kisi ki
tujhe nazar naa lage kisi ki jiye hazaaro saal
ik tu hi dhanavaan hai gori baaki sab kagaal

chaandi jaisaa rag hai teraa sone jaise baal
ik tu hi dhanavaan hai gori baaki sab kagaal

https://www.youtube.com/watch?v=5epXfYjSl_M

ALBUM:   KHUSHBOO  [2006]


6.   SHARAB CHIZ HAI BURI

sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
nasha bura hai pyar ka yah jam sare tod de
bina lie hi phul le nashe me aj pyar ke
sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
nasha bura hai pyar ka yah jam sare tod de

dhadake dil ye bar bar dil ko tera intazar 
har tamanna bekarar thi
jane tu na mera hal kuchh to kar mera khyal 
pyas ye bujha de pyar ki
dhadake dil ye bar bar dil ko tera intazar 
har tamanna bekarar thi
jane tu na mera hal kuchh to kar mera khyal 
pyas ye bujha de pyar ki
sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
nasha bura hai pyar ka yah jam sare tod de

aa gale laga ke baho me tujhe chhipa ke
hontho se chura ke hansiyan
narmiya mere badan ki garmiya ye pyare tan ki
he mere sharab hai kaha aaja
aa gale laga ke baho me tujhe chhipa ke
hontho se chura ke hansiyan
narmiya mere badan ki garmiya ye pyare tan ki
he mere sharab hai kaha aaja
sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
nasha bura hai pyar ka yah jam sare tod de

tal na jae pyasi rat kah de dil de dil ki bat
ag dil ki dil me kyo rahe
pyas teri mai bujha du dard tere mai mita du
mere hote ham ye kyo sahe
tal na jae pyasi rat kah de dil de dil ki bat
ag dil ki dil me kyo rahe
pyas teri mai bujha du dard tere mai mita du
mere hote ham ye kyo sahe
sharab chiz hai buri sharab pina chhod de
nasha bura hai pyar ka yah jam sare tod de
bina lie hi phul le nashe me aj pyar ke

https://www.youtube.com/watch?v=FT7v1CnrRvY


  7.    GHUNGHURU TUT GAYE

salim tere jaha ki har rasam chod di hai
sarmo haya ki maine janjir tod di hai
maine chod di sabki laz
maine chod di sabki laz
mai aisa jhum ke nachi aaj
ke ghunghru tut gaye 
ke ghunghru tut gaye 

maine chod di sabki laz
maine chod di maine chod di
maine chod di sabki laz
mai aisa jhum ke nachi aaj
ke ghunghru tut gaye 
ke ghunghru tut gaye 

takrayi jo apne dibar se
dil dhadka mohabbat ke dar se
takrayi jo apne dibar se
dil dhadka mohabbat ke dar se
baho me jo usne gher liya
kuch kar na saki muh fer liya
baho me jo usne gher liya
kuch kar na saki muh fer liya
mohe lut gaya ek chor ke padi mai aisi kamjor
ke ghunghru tut gaye 
ke ghunghru tut gaye 

kyu aaj jamane se darna
ruswayi ka gum bhi kya karna
kyu aaj jamane se darna
ruswayi ka gum bhi kya karna
hasna ke aasu pina hai
ek rat mujhe to jina hai
hasna ke aasu pina hai
ek rat mujhe to jina hai
mai chali piya ki or
jawani aisi hai ruh jor
ke ghunghru tut gaye 
ke ghunghru tut gaye 

rahta tha jo mere khwabo me
taswir thi jiski aankho me
rahta tha jo mere khwabo me
taswir thi jiski aankho me
baje hai kahi bhi sahnayi
mai samjhi milan ki rat aayi
baje hai kahi bhi sahnayi
mai samjhi milan ki rat aayi
mai aisi hui behal
mai aisi hui behal
kuch aisi uljhi meri chal
ke ghunghru tut gaye 
ghunghru re ghunghru re 
ghunghru re 
ke ghunghru tut gaye 

kuchh der ka ye afsana hai
bas dil ko yahi samjhana hai
kuchh der ka ye afsana hai
bas dil ko yahi samjhana hai
jajir mai jisse ghayal thi 
dunia ki najar me payal thi
jajir mai jisse ghayal thi 
dunia ki najar me payal thi
wo kat gayi aaj janjir
maine chalaya aisa teer
ke ghunghru tut gaye 

maine chod di sabki laz
mai aisa jhum ke nachi aaj
ke ghunghru tut gaye 
ke ghunghru tut gaye 

https://www.youtube.com/watch?v=48RSFVuvRh4


Saturday, March 22, 2014

GHULAM ALI : CHUPAKE CHUPAKE RAAT DIN [14 ]







                                               GHULAM ALI


Born: December 5, 1940 (age 73)
               Kaleki, Sialkot District
                       Pakistan
Genres             ghazal
Occupations singer
Instruments harmonium
Years active 1960-present

Ghulam Ali is considered as one of the best ghazal singers of his era. His style and variations in singing Ghazals has been noted as unique, as he blended Hindustani classical music with ghazals, unlike any other Ghazal singer. Highly popular in Pakistan, India, Bangladesh, as well as amongst South Asian Diaspora in the USA, the UK and the Middle Eastern Countries. Many of his hit ghazals have been used in Bollywood movies. His famous ghazals are Chupke Chupke Raat Din, Kal Chaudhvin Ki Raat Thi, Hungama Hai Kyon Barpa, Kiya Hai Pyar Jisé, May Nazar Sé Pee Rahahoon, Mastana Peeyé, Yé dil yé pagal dil, Apni Dhoon Mein.



1.   CHUPAKE CUPAKE RAAT DIN ANSOO BAHAANA YAAD HAI

apani aawaaz ki larzish pe to qaabu pa lo
pyaar ke bol to honthon se nikal jaate hain
apane tewar to sambhaalo ke koyi ye na kahe
dil badalate hain to chehare bhi badal jaate hain

chupake chupake raat din aansu bahaana yaad hai

ab main samajha tere rukasaar pe til ka matalab
daulat-e-husn pe darabaan bitha rakha hai
gar siyaah-bakt hi hona tha nasibon mein mere
zulf hota tere rukasaar pe ya til hota

chupake chupake raat din aansu bahaana yaad hai
hamako ab tak aashiqi ka wo zamaana yaad hai

tujhase milate hi wo kuchh bebaak ho jaana mera
aur tera daanton mein wo ungali dabaana yaad hai

chori chori hamase tum aa kar mile the jis jagah
muddatein guzarin par ab tak wo thikaana yaad hai

dopahar ki dhup mein mere bulaane ke liye
wo tera kothe pe nange paanv aana yaad hai

khainch lena wo mera parde ka kona daf_atan
aur dupatte se tera wo munh chhupaana yaad hai

tujhako jab tanha kabhi paana to az-raah-e-lihaaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jataana yaad hai

aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
wo tera ro ro ke bhi mujhako rulaana yaad hai

waan hazaaraan iztiraab, yaan sad-hazaaraan ishtiyaak
tujhako wo pahale-pahal dil ka lagaana yaad hai

jaan kar hona tujhe wo kasad-e-paa-bosi mera
aur tera thukara ke sar wo muskuraana yaad hai

jab siva mere tumhaara koyi diwaana na tha
sach kaho kuchh tumako ab bhi wo zamaana yaad hai

gair ki nazaron se bach kar sabaki marzi ke kilaaf
wo tera chori chhipe raaton ko aana yaad hai

dekhana mujhako jo baragashta sau naaz se
jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai

shauq mein mehandi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chhedana wo gudagudaana yaad hai


http://www.youtube.com/watch?v=GOuoa9fr97E


  2.     CHUPAKE CHUPAKE RAAT DIN



chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai

khench le na woh mera parde ka kona daffatan
khench le na woh mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera woh munh chhupana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai

dopehar kee dhup me mere bulane ke liye
dopehar kee dhup me mere bulane ke liye
woh tera kothe pe nange panv ana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai



http://www.youtube.com/watch?v=38_AJgdtXm4



    3.     CHAMKATE CHAND KO TUTTAA HUAA TAARAA BANAA DAALAA



chamakate chand ko
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala
meri aavaragi ne mujhako, avara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala

bada dilkash bada rangin hai yah shahar kahate hai
bada dilkash bada rangin hai yah shahar kahate hai
yahan par hai hazaro ghar gharo me log rahate hai
mujhe is shahar ki galiyo ka banjara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala

mai is duniya ko aksar dekhakar hairan hota hu
mai is duniya ko aksar dekhakar hairan hota hu
na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hu
khudaya tune kaise ye jaha sara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala

mere malik mera dil kyu tadapata hai sulagata hai
mere malik mera dil kyu tadapata hai sulagata hai
teri marzi teri marzi pe kiska jor chalata hai
kisiko gul kisiko tune angara bana dala


http://www.youtube.com/watch?v=p6slsLrYa5Y



  4.   HANGAMA HAI KYUN BARPAA THODI SI JO PILI HAI



prelude
ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahi
varanaa mai kuchh bhi hun ehasaan-faraamosh nahi
 live in india version starts from here
mai teri mast-nigaahi kaa bharam rakh lungaa
hosh aayaa bhi to kah dungaa mujhe hosh nahi

hagaamaa hai kyun barapaa thodi si jo pi li hai
daakaa to nahi daalaa chori to nahi ki hai

us may se nahi matalab dil jisase ho begaanaa
makasud hai us may se dil hi me jo khichati hai

suraj me lage dhabbaa fitarat ke karishme hai
but hamako kahe khaafir allaah ki marzi hai

naatajurbaakaari se vaa_iz ki ye baate hai
is rag ko kyaa jaane puchho jo kabhi pi hai

waan dil me ki sadame do, yaan ji me ki sab sah lo
unakaa bhi ajab dil hai, meraa bhi ajab ji hai

har zarraa chamakataa hai anawaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai ham hai to khudaa bhi hai

 the following was not in the versions i heard

e shauq wahi may pi ai hosh zaraa so jaa
mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai

chamakate chand ko tuta hua tara bana dala

yahi agaz tha mera, yahi anjam hona tha
yahi agaz tha mera, yahi anjam hona tha
mujhe barabad hona tha, mujhe nakam hona tha
mujhe taqadir ne taqadir ka mara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala
meri aavaragi ne mujhako, avara bana dala
chamakate chand ko tuta hua tara bana dala

http://www.youtube.com/watch?v=5xfmDeuJchk



   5.    YAD YAS BUS YAS YAD RAEH JATEE HAI



tadap yeh ishk ki dil se kabhi nahi jati
ki jan de dekar bhi divangi nahi jati
najane woh kaunsi dunia hai woh mere rabba
jaha se lautke koyi sada nahi aati

ishk me toh har chij mit jati hai
bekrari bankar hame tadpati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
ishk me toh har chij mit jati hai
ishk me toh har chij mit jati hai
bekrari bankar hame tadpati ha
bekrari bankar hame tadpati ha
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
woh teri yad woh teri yad yad
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai

karke tanha yeh jindagani kyu gayi chhod ke kahani
abb yeh aansu piya naa jaye bin tere abb jiya naa jaye
dard se tutti meri sanse jakhm dil ka siya na jaye
dard se tutti meri sanse jakhm dil ka siya na jaye
aaja aaja meri wafa tujhe bulati hai
aaja aaja meri wafa tujhe bulati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad bus yad reh jati hai
woh teri yad woh teri yad yad
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad bus yad reh jati hai

yad me dekho bana hai yeh hasin tajmahal
yad me koi likhe shamo sehar shokh ghajal
yad me dekho bana hai yeh hasin tajmahal
yad me koi likhe shamo sehar shokh ghajal
dil ke dariya me khilta hai khwabo ka kamal
yad aate hai hamesha woh gujre huye pal
tu nahi hai teri yade mujhe satati hai
tu nahi hai teri yade mujhe satati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai

ishk me toh har chij mit jati hai
bekrari bankar hame tadpati hai
ishk me toh har chij mit jati hai
bekrari bankar hame tadpati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
woh teri yad woh teri yad yad
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai
yad yad yad, bus yad reh jati hai


http://www.youtube.com/watch?v=wBWXp4RscOw

   6.     YEH DIL YEH PAGAL DIL MERA



yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
iss dasht me ik shahar tha woh kya hua aawargee

kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
maine kaha too kaun hai usne kaha aawargee

ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee


http://www.youtube.com/watch?v=_t12CQY3AmU




   7.   WOH KABHI MIL JAYE TOH KYA KIJIYE



woh kabhee mil jaye toh kya kijiye
rat din surat ko dekha kijiye

chandanee rato me ik ik phul ko
bekhudee kahatee hai sajada kijiye

jo tamannabar na aaye umrr bhar
umrr bhar usakee tamanna kijiye

ishk kee ranginiyo me dub kar
chandanee rato me roya kijiye

ham hee usake ishk ke kabil na the
kyun kisee jalim ka shikawa kijiye


http://www.youtube.com/watch?v=c6SR65PlCuw




   8.   BECHAIN BAHUT PHIRANA GHABARAAYE HUYE RAHAANAA


bechain bahut phiranaa ghabaraaye huye rahanaa
ik aag si jazbo ki dahakaaye huye rahanaa

chhalakaaye huye chalanaa khushbu lab-e-laali ki
ik baag saa saath apane mahakaaye huye rahanaa

us husn kaa shevaa hai jab ishq nazar aaye
parde me chale jaanaa sharmaaye huye rahanaa

ik shaam si kar rakhanaa kaajal ke karishme se
ik chaand saa aankho me chamakaaye huye rahanaa

aadat hi banaa li hai tumane to 'munir' apani
jis shahar me bhi rahanaa ukataaye huye rahanaa

http://www.youtube.com/watch?v=06X-g5mZ_0E



    9.  PAARA PAARAA HUAA PAIRAAHAN E JAAN



prelude
wo unhe yaad kare jisane bhulaayaa ho kabhi
hamane unako na bhulaayaa na kabhi yaad kiyaa

paaraa paaraa hu_aa pairaahan-e-jaan
phir mujhe chhod gaye chaaraagaraan

 paaraa paaraa: tukade tukade
 pairaahan: kapade
 pairaahan-e-jaan: the cloth that the soul wears = body
 chaaraagaraan: doctors

ko_i aahat, na ishaaraa, na saraab
kaisaa viraan hai ye dasht-e-imkaan

 the following is in live in india version
vaqt ke sog me lamho kaa julus
jaise ik qaafilaa-e-nauhaagaraan

 the following were not in the versions i heard
chaar-su khaaq udaati hai hawaa
astaraan, kaabaataraan, teg-e-ravaan

kaise ghabaraaye hu_e phirate hai
tere mohataaz tere dil-gazadaan


http://www.youtube.com/watch?v=p7_zp7NdQOA



11.      DAYAR E DIL KI RAAT MEN CHARAAG SAA JALAA GAYAA



dayaar-e-dil ki raat me charaag saa jalaa gayaa
milaa nahi to kyaa hu_aa wo shaql to dikhaa gayaa

wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanaan hu_i
wo chhoti chhoti rajisho kaa lutf bhi chalaa gayaa

judaa_iyo ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nid aa ga_i mujhe bhi sabr aa gayaa

pukaarati hai fursate kahaan ga_i wo sohabate
zami nigal ga_i unhe yaa aasamaan khaa gayaa

ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan
ab aa_ine me dekhataa hun mai kahaan chalaa gayaa

ye kis khushi ki ret par gamo ko nid aa ga_i
wo lahar kis taraf ga_i ye mai kahaan chalaa gayaa

ga_e dino ki laash par pade rahoge kab talak
alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gayaa


http://www.youtube.com/watch?v=X_pvcfuXE0M

   12.  MEHFIL ME BAAR BAAR KISI PAR NAZAR GAYI


mahafil me bar bar kisee par najar gayee
hamne bachayee lakh magar phir udhar gayee

unakee najar me koyee jadu jurur hai
jis par padee usike jigar tak utar gayee

uss bewafa kee aankh se aansu chhalak pade
hasarat bharee nigah bada kam kar gayee

unake jamale ruk pe unhee ka jamal tha
woh chal diye toh raunake shamo sahar gayee

unako kabar karo ke hai bismil karibe marg
woh aayenge jurur jo unn tak kabar gayee

http://www.youtube.com/watch?v=0-KftRv1-fU


http://www.youtube.com/watch?v=tyPoh_ca5FE


13.   KAL CHAUDHVIN KI RAAT THI


Kal chaudhvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum hass diye hum chup rahe
Manzoor tha parda tera

Is sheher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le
Har shaks deewana tera

Koonche ko tere chhodkar
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere parbat tere
Basti teri sahera tera

Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera ruswaan tera
Shaayar tera inshaa tera


http://www.youtube.com/watch?v=ZUyn3H1xy1I


 14.    KIYA HAI PYAR JAISE


kiyaa hai pyaar jise ham ne zindagi ke tarah
vo aashanaa bhi milaa ham se ajanabi ke tarah

badhaa ke pyaas meri us ne haath chhod diyaa
vo kar rahaa tha muravvat bhi dillagi ke tarah

kabhi na sochaa tha ham ne qatil us ke lie
karegaa ham pe sitam vo bhi har kisi ke tarah

kise khabar thi bade hi kuchh aur taari ki (?)
milaa hai hamase vo kisi badali me chaandani ki tarah

sitam to ye hai ke vo bhi na ban sakaa apna
kubul hamane liye jis ke gam khushi ke tarah



http://www.youtube.com/watch?v=Gj7O_CqOmEE