Monday, August 24, 2015

BHUPINDER SINGH





lso known asBhupi
Born6 February 1940 (age 75)
AmritsarPunjab, India
GenresPlayback singing
Occupation(s)Ghazal singer and composer
InstrumentsGuitar
Years active1964–present


Bhupinder Singh (born 6 February 1940) is an Indian musician, chiefly a Ghazal singer and 

also a Bollywood playback singer.

1.
aavaaz di hai aaj ik nazar ne
yaa hai ye dil ko gumaan
doharaa rahi hai jaise fazaaye
bhuli hui daastaan
aavaaz di hai aaj ik nazar ne
yaa hai ye dil ko gumaan
doharaa rahi hai jaise fazaaye
bhuli hui daastaan

laut aayi hai phir ruthi bahaare
kitanaa hasin hai samaa
duniyaa se kah do na ham ko pukaare
ham kho gaye hai yahaan
laut aayi hai phir ruthi bahaare
kitanaa hasin hai samaa
duniyaa se kah do na ham ko pukaare
ham kho gaye hai yahaan

jivan me kitani viraaniyaan thi
chhaayi thi kaisi udaasi
sunakar kisi ke kadamo ki aahat
halachal hui hai zaraa si
jivan me kitani viraaniyaan thi
chhaayi thi kaisi udaasi
sunakar kisi ke kadamo ki aahat
halachal hui hai zaraa si

saagar me jaise lahare uthi hai
tuti hai khaamoshiyaan
doharaa rahi hai jaise fazaaye
bhuli hui daastaan

tufaan me khoi kashti ko aakhir
mil hi gayaa phir kinaaraa
ham chhod aaye khwaabo ki duniyaa
dil ne tere jab pukaaraa
tufaan me khoi kashti ko aakhir
mil hi gayaa phir kinaaraa
ham chhod aaye khwaabo ki duniyaa
dil ne tere jab pukaaraa

kabase khadi thi baahe pasaare
is dil ki tanhaaiyaan
duniyaa se kah do na ham ko pukaare
ham kho gaye hai yahaan

ab yaad aayaa kitanaa adhuraa
ab tak thaa dil kaa fasaanaa
yun paas aake dil me samaake
daaman na hamase chhudaanaa
yun paas aake dil me samaake
daaman na hamase chhudaanaa

jin raasto par tere kadam ho
majil hai meri vahaan
duniyaa se kah do na ham ko pukaare
ham kho gaye hai yahaan
laut aayi hai phir ruthi bahaare
kitanaa hasin hai samaan
duniyaa se kah do na ham ko pukaare
ham kho gaye hai yahaan

https://www.youtube.com/watch?v=o3odw3_pT1A

2.

ek akela iss shahar me, rat me aur dopahar me
aabodana dhundata hai aashiyana dhundata hai

din khalee khalee bartan hai aur rat hai jaise andha kuan
inn sunee andheree aankho se aansun kee jagah aata hain dhuan
jine kee vajah toh koyee nahee marne kaa bahana dhundata hai
ek akela iss shahar me

inn umar se lambee sadkon ko manjil pe pohonchte dekha nahee
bas daudatee phirtee rahtee hain hamne toh theherte dekha nahee
iss ajnabee se shahar me jana pehechana dhundata hai
ek akela iss shahar me
https://www.youtube.com/watch?v=Pax5xLX6aNU


MOVIE Gharaonda (1977)
MUSIC; Jaidev
LYRICS:Gulzar  

3.

dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din
baithe rahe tasawwure jana kiye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din

jaddo ki narm dhup aur aangan me let kar
jaddo ki narm dhup aur aangan me let kar
aankho pe khinch kar tere aanchal ke saye ko
aaundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din

ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
thandi safed chadro pe jage der tak
taro ko dekhte rahe chhat par pade huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din

barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
wadi me gunjti hui, khamoshiya sune
aankho me bhige bhige se lamhe liye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din
baithe rahe tasawwure jana kiye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke raat din

https://www.youtube.com/watch?v=9JZ9vyTv2hc


FILM:      MAUSAM (1976)
LYRICS:  GULZAR  
MUSIC Madan Mohan  


4.



huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
khule aam aanchal na lahara ke chaliye
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
khule aam aanchal na lahara ke chaliye
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

koi manchala gar pakad lega aanchal
koi manchala gar pakad lega aanchal
zara sochiye aap kya kijiyega
laga de agar badh ke zulfo me kaliya
laga de agar badh ke zulfo me kaliya
to kya apni zulfe jhatak dijiyega
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
khule aam aanchal na lahara ke chaliye
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

bahut khubasurat hai har baat lekin
bahut khubasurat hai har baat lekin
agar dil bhi hota to kya baat hoti
likhi jaati phir daastaan-e-muhabbat
likhi jaati phir daastaan-e-muhabbat
ek afasaane jaise mulaaqaat hoti
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
khule aam aanchal na lahara ke chaliye
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye
khule aam aanchal na lahara ke chaliye
huzur is kadar bhi na itra ke chaliye

https://www.youtube.com/watch?v=Rzo3kVxG-3s

FILM:    MAUSUM   1983
LYRIC:  GULZAR
MUSIC: R.D. BURMAN


5.

naam gum jaayegaa, chehra ye badal jayega
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe
naam gum jaayegaa, chehra ye badal jayega
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe

vaqt ke sitam, kam hasi nahi
aaj hai yaha, kal kahi nahi
vaqt se bhare agar, mil gaye kahi
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe
naam gum jaayegaa, chehra ye badal jayega
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe

jo guzar gayi, kal ki baat thi
umr to nahi, ek aas thi
raat ka sila agar, phir mile kahi
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe
naam gum jaayegaa, chehra ye badal jayega
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe

din dhale jaha, raat paas ho
zindagi ki raah, unchi kar chalo
yaad aaye gar kabhi, ji udaas ho
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe
naam gum jaayegaa, chehra ye badal jayega
meri aawaaz hi pahchaan hai gar yaad rahe


BHUPINDER WITH LATA MANGESHKAR


https://www.youtube.com/watch?v=6hE2NUPewB8


FILM:  KINARA   1977
LYRICS;   GULZAR
MUSIC:     R.D. BURMAN
   

 6.

dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi

jaado ki narm dhup aur aangan me let kar
jaado ki narm dhup aur aangan me let kar
aankho pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
aaundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
dil dhundhta hai
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi

ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
thandi safed chaadaro pe jage der tak
thandi safed chaadaro pe jage der tak
taaro ko dekhate rahe chhat par pade huye
dil dhundhta hai
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi

barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
waadi me gunjati hui khamoshiya sune
waadi me gunjati hui khamoshiya sune
aankho me bhige bhige se lamhe liye huye
dil dhundhta hai
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
dil dhundhta hai fir wahi fursat ke rat din
dil dhundhta hai fir wahi

https://www.youtube.com/watch?v=l-RIyguTrFg

FILM:    MAUSUM   1983
LYRIC:  GULZAR
MUSIC: R.D. BURMAN

7.
ek akela iss shahar me, rat me aur dopahar me
aabodana dhundata hai aashiyana dhundata hai

din khalee khalee bartan hai aur rat hai jaise andha kuan
inn sunee andheree aankho se aansun kee jagah aata hain dhuan
jine kee vajah toh koyee nahee marne kaa bahana dhundata hai
ek akela iss shahar me

inn umar se lambee sadkon ko manjil pe pohonchte dekha nahee
bas daudatee phirtee rahtee hain hamne toh theherte dekha nahee
iss ajnabee se shahar me jana pehechana dhundata hai
ek akela iss shahar me

https://www.youtube.com/watch?v=Pax5xLX6aNU

FILM:  GHARAONDA  1977
LYRICS    GULZAR
MUSIC:     JAIDEV


 

Friday, August 14, 2015

GHULAM ALI






yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
iss dasht me ik shahar tha woh kya hua aawargee

kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
maine kaha too kaun hai usne kaha aawargee

ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee

https://www.youtube.com/watch?v=fp29Ll1kQ1A

https://www.youtube.com/watch?v=qH5q-v8tvF4


FILM:       MAATI MAANGE  KHOON 1984
LYRICS:   ANAND BAKSHI
MUSIC:     R.D.BURMAN

SINGER:: GHULAAM ALI
****

2.      GHULAM ALI  &   ASHA BHOSLE




phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye tum yaad aaye

phir guunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
phir guunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye
din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya rahakhoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye



https://www.youtube.com/watch?v=MQEPF5SRz_w

ALBUM:    MERAJ-E- GHAZAL  1989

LYRICS:   NAZIR KAASMI

mUSIC:   GHULAM ALI