Friday, August 14, 2015

GHULAM ALI

yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
iss dasht me ik shahar tha woh kya hua aawargee

kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
maine kaha too kaun hai usne kaha aawargee

ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee

https://www.youtube.com/watch?v=fp29Ll1kQ1A

https://www.youtube.com/watch?v=qH5q-v8tvF4

FILM:       MAATI MAANGE  KHOON 1984
LYRICS:   ANAND BAKSHI
MUSIC:     R.D.BURMAN

SINGER:: GHULAAM ALI
****

2.      GHULAM ALI  &   ASHA BHOSLE

phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye tum yaad aaye

phir guunjein bolin ghaas ke hare samundar mein

rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga

baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein

phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha

jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye
din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya rahakhoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye

https://www.youtube.com/watch?v=MQEPF5SRz_w

ALBUM:    MERAJ-E- GHAZAL  1989

LYRICS:   NAZIR KAASMI

mUSIC:   GHULAM ALI

No comments:

Post a Comment